Muqaddar ke sitaron per
zameen ki isharon per
udaasi ke kinaron per
kabhi weran shehron mein
kabhi sunsan rahon per
kabhi hairan aankhon mein
kabhi bejaan lamhon main
tumhari yaad holey se
koi sargoshi karti hai
yeh palkain bheeg jati hain
do aansu toot ke girte hain
main palkon ko jhukata hoon
bazahir muskurata hoon
faqat itna hi kehta hoon
mujhe kitna satatey ho
mujhe tum yaad aate ho
bohot hi yaad aate ho…..

    More Related SMS - Love SMS, Romantic SMS and more..
  1. MUJHEY TUM YAAD AATAY HO Mukaddar k sitaron per, Zamanay k esharon per, udasi...
  2. Ankhon Se Kyo Aansu Jhalak Jate Hain, Ankhon Se Kyo Aansu Jhalak Jate Hain, Tanhaiyo Me...
  3. Jab barish hoti hai, Tum yaad aate ho. Jab barish hoti hai, Tum yaad aate ho. Jab kali...
  4. Yaad kar ke Mujhe Taqleef to Hoti Hogi… Yaad kar ke Mujhe Taqleef to Hoti Hogi… Aik Qissa...
  5. Saans lene se bhi teri yaad aati hai Saans lene se bhi teri yaad aati hai, Har saans...